Khulega NaKHun-e-shamshir Se Uqda Mere Dil Ka
khulega naKHun-e-shamshir se uqda mere dil ka
kisi qatil se hai aasan hona meri mushkil ka
pas-e-murdan bhi ye manzur hai nazzara qatil ka
charagh-e-gor mein aalam hua hai chashm-e-bismil ka
ghubar-e-dahr se ek lahza bhi KHali nahin hota
ilahi shisha-e-saat hai kya shisha mere dil ka
yahi gar zindagi bhar tab-e-ali ka raha aalam
banega mar gae par aasman daswan mere gil ka
na toDe rishta-e-dam aur apna yar dam toDe
hai behtar is bhaDakne se taDapna tair-e-dil ka
jahan mein kaamilon ko qadr hai hum KHaksaron ki
shikast-e-dil-gada ko TuTna hai saghar-e-gul ka
ajab hai ru-e-jaanan par na hona ek bhi til ka
adam karta nahin taron ko jalwa mah-e-kaamil ka
qayamat laega gulzar mein nala anadil ka
jagana fitna-e-KHwabida hai sayyaad-e-ghafil ka
main majnun dekhte hi mar gaya is rashk-e-laila ko
kafan ke waste goya phaTa tha parda mahmil ka
kiya labrez-e-marwarid chashm-e-gauhar afshan se
guman guzra jo dariya par mujhe daman-e-sahil ka
mera KHwab-ul-aziz o ghairat-e-KHwab-e-zuleKHa hai
tasawwur raat bhar tha mujh ko ek yusuf-shamail ka
main aisa na-tawan hun sar uThana mujh ko mushkil ho
bara-e-tauq gardan chahiye chhalla anamil ka
kafan misl-e-katan hai TukDe TukDe 'arsh' madfan mein
tasawwur mar gae par bhi hai ye us mah-e-kaamil ka
(466) Peoples Rate This