Kaun Aaega Jo Tu Be-sar-o-saman Hoga
kaun aaega jo tu be-sar-o-saman hoga
warna hoga tu na andesha-e-darban hoga
qatl ke baad bhi ek aish ka saman hoga
mai-e-gul-rang lahu zaKHm namak-dan hoga
bankpan bas ki hai manzur mere qatil ko
gul-e-dastar bhi ab ghuncha-e-paikan hoga
ek nazar dekh sakega na teri chashm-e-siyah
sabza-e-KHat bhi charagah-e-ghazalan hoga
tu wahan bhi jo na ho yar to phir hai andher
roz-e-mahshar pe guman-e-shab-e-hijran hoga
dilbaro dil ke na le jaane mein israr karo
tum ko kya faeda hoga mera nuqsan hoga
jate hain sabr o qarar o KHirad o hosh o hawas
jaras-e-qafila apna dil-e-nalan hoga
mere isa se mere dard ka darman hoga
sharbat-e-wasl ilaj-e-tap-e-hijran hoga
waiz hum ko tu na hangama-e-mahshar se Dara
apne nazdik wo ek majma-e-yaran hoga
aaina dida-e-hairan tujhe dikhlaega
shana-e-zulf mera haal-e-pareshan hoga
dil-e-be-ishq se kaunain mein tu hoga KHarab
barhaman dair mein kabe mein musalman hoga
gar ye hain dast-e-junun aur wo hain KHar-e-junun
na to daman hi rahega na gareban hoga
shaKH-e-gul hai qalam-e-fikr to ashaar hain gul
'arsh' diwan mera rashk-e-gulistan hoga
(428) Peoples Rate This