Hai Mera Tar-e-nafas Tar-e-qafas
hai mera tar-e-nafas tar-e-qafas
rishte barpa hon giraftar-e-qafas
murgh-e-dil ko zabh ai sayyaad kar
aur tair hain sazawar-e-qafas
shauq bulbul ko asiri ka jo ho
ho zar-e-gul se KHaridar-e-qafas
kyun na main rangin-bayan hun qaid-e-ranj
murgh-e-KHush-KHwan hai sazawar-e-qafas
zindagi se qaid mein bhi hun subuk
gah bar-e-dam gah bar-e-qafas
mujh sa bulbul qaid ho kar chhuT jae
so gae kya baKHt-e-bedar-e-qafas
chashm-e-alam mein asir-e-dam hai
ruh hai tan mein sazawar-e-qafas
phand kar aaya tha diwar-e-chaman
phand jaun kyun ki diwar-e-qafas
kya hai dagh-e-KHun-e-bulbul ki bahaar
dekh ai sayyaad gulzar-e-qafas
kab kisi bulbul ko milta hai gulab
KHun-e-dil pita hai bimar-e-qafas
zabh karne ko utara naKHl se
sar mera tha pa-e-raftar-e-qafas
puchhta hai kya dil-e-bulbul ka haal
dekh zalim jism-afgar-e-qafas
ashk ko hai dam-e-gesu ki talash
tifl hota hai KHaridar-e-qafas
ta-ba-kai hoga asir-e-dam-e-fikr
'arsh' kar mauquf ashaar-e-qafas
(401) Peoples Rate This