Asar Aisa Hai Tap-e-gham Mein Dawa Ka UlTa
asar aisa hai tap-e-gham mein dawa ka ulTa
nabz dekhe to ho bimar masiha ulTa
ham-sari ki qad-e-mauzun o ruKH-e-raushan se
chor ki tarah diya shama ko laTka ulTa
subh ko chehra-e-KHurshid kiran se nikla
sar se us mah ne jo maqis ka sehra ulTa
KHafaqan-e-gham-e-furqat se dil aisa ulTa
munh ke bahar nikal aaya jo kaleja ulTa
hasrat-e-did mein aaKHir ko dam apna ulTa
parda-e-chashm na us shoKH ne apna ulTa
naz o andaz ne diwana banaya dil ko
us pari ne jo dam-e-raqs dupaTTa ulTa
main to karta nahin ai 'arsh' gila furqat ka
shikwa-e-baKHT wo kaj-baz hai karta ulTa
(475) Peoples Rate This