Yun Ghair Kuchh Kahen To Bala Ko Buri Lage
yun ghair kuchh kahen to bala ko buri lage
tu kuchh na kah ki hum ghoraba ko buri lage
tangi kare na hausla apna kahin bas ab
itni jafa na kar ki wafa ko buri lage
tujh bin ye zist apni hamein yun hai jis tarah
qaid-e-hayat ahl-e-fana ko buri lage
hun KHak tere kuche ki hum aur apni gard
teri gali se aah saba ko buri lage
hum to sahenge wo bhi pa lazim nahin tujhe
is naz ki jafa jo ada ko buri lage
hai be-hayai had se jo garmi zyaada ho
shoKHi bahut to mard-o-nisa ko buri lage
chun aaina dil apna kudurat se saf rakh
gard-e-malal ahl-e-safa ko buri lage
har dam jawab saf murawwat se hai baid
wo baat tu na kar ki haya ko buri lage
us but ki bandagi se na aazad ho 'hasan'
ye baat bhi kahin na KHuda ko buri lage
(340) Peoples Rate This