Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0031e2632dacf68c6198c7875f989cb2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yan Se Paigham Jo Le Kar Gae Maqul Gae - Meer Hasan Poetry In English - Darsaal

Yan Se Paigham Jo Le Kar Gae Maqul Gae

yan se paigham jo le kar gae maqul gae

us ki baaton mein lage aise ki sab bhul gae

tu to mashuq hai tujh ko to bahut aashiq hain

gham unhon ka hai jo wo jaan se nirmul gae

be-kali apni ka izhaar to karta nahin main

gul-ruKHan dekh ke tum mujh ko abas bhul gae

kyunki khaTka na rahe sab ko udhar jaane ka

aah kya kya na usi KHak mein maqbul gae

apni neki o badi chhoD gae duniya mein

garche donon na rahe qatil o maqtul gae

zulf mein us ki bahut rah ke na itraiyo dil

mujh se kitne hi meri jaan yahan jhul gae

pahli baaton ka mohabbat ki 'hasan' zikr na kar

bas wo dastur gae aur wo mamul gae

(410) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yan Se Paigham Jo Le Kar Gae Maqul Gae In English By Famous Poet Meer Hasan. Yan Se Paigham Jo Le Kar Gae Maqul Gae is written by Meer Hasan. Read famous Poem Yan Se Paigham Jo Le Kar Gae Maqul Gae for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Yan Se Paigham Jo Le Kar Gae Maqul Gae in PDF.