Ya Sabr Ho Hamin Ko Us Tarf Jo Na Niklen
ya sabr ho hamin ko us tarf jo na niklen
ya apne ghar se ban ban ye KHub-ru na niklen
hoti nahin tasalli dil ko hamare jab tak
do-chaar bar us ke kucha se ho na niklen
dil DhunDhne chale hain kuche mein tere apna
Darte hain aap ko bhi hum wan se kho na niklen
koi bhi din na guzra aisa ki us gali se
zaKHmi ho mubtala ho jo ek do na niklen
dil aur jigar lahu ho aankhon talak to pahunche
kya hukm hai ab aage niklen kaho na niklen
basti mein to dil apna lagta nahin kaho phir
sahra ki tarf kyunkar ai naseho na niklen
gar wo naqab uTha de chehre se to 'hasan' phir
kuchh gham nahin mah-o-mehr aalam mein go na niklen
(450) Peoples Rate This