Uske Kuche Se Saba Gar Idhar Aa Jati Hai
us ke kuche se saba gar idhar aa jati hai
dil ke nalon ki mufassal KHabar aa jati hai
garche us zulf se kuchh kaam nahin ab to wale
sanp ke kaTe ki si ek lahr aa jati hai
mere hote hi tumhein ghair se thi karni baat
dil mein kuchh kuchh phir isi baat par aa jati hai
ye ghazab hai ki wo ruTha hua phirta hai jo yan
KHwab mein bhi wahi surat nazar aa jati hai
zikr chheDe koi ab kyunki mera us ke huzur
wan to har baat mein tegh-o-sipar aa jati hai
sujhta kuchh nahin us waqt miyan apne tain
yaad jis waqt teri mu kamar aa jati hai
kaT deta hai wo har baat mein sunta hi nahin
baat meri kabhi majlis mein gar aa jati hai
ek wafadari jo hai aab-o-gil apne mein 'hasan'
phir tabiat nahin phirti jidhar aa jati hai
(412) Peoples Rate This