Tuk Dekh Len Chaman Ko Chalo Lala-zar Tak
Tuk dekh len chaman ko chalo lala-zar tak
kya jaane phir jien na jien hum bahaar tak
qismat ne dur aisa hi phenka hamein ki hum
phir jite-ji pahunch na sake apne yar tak
le jaun ab main yan se kahan apna aashiyan
dushman hai is chaman mein mera KHar KHar tak
dast-e-sitam daraaz kiya jab junun ne
chhoDa na mere pas gareban ka tar tak
phir bhi Tuk itna us ko tu kah dijiyo saba
jawe agar hamare taghaful-shiar tak
jine ki surat us ki Thaharti hai koi dam
is waqt mein bhi pahuncho jo us be-qarar tak
kah is zamin mein ek ghazal aur bhi 'hasan'
hai teri taba kahne par ab to hazar tak
(386) Peoples Rate This