Tir Par Tir Lage To Bhi Na Paikan Nikle
tir par tir lage to bhi na paikan nikle
yarab is ghar mein jo aawe na wo mehman nikle
nek-o-bad mein jo nahin jang adam mein to bhala
kyun gul o KHar baham dast-o-gareban nikle
dast-e-chaalak junun sina ko bhi kar de chaak
ta kahin pahlu se mere dil-e-nalan nikle
kaun si raat wo howe ki jo aawe shab-e-wasl
kaun sa roz wo ho jo shab-e-hijran nikle
gulshan-e-dil mein bhi thi apni kuchh ulTi tasir
tuKHm-e-ummid jo boe gul-e-hirman nikle
kar nazar ruKH ko tere kufr se nikle kafir
zulf ko dekh teri din se musalman nikle
jitna kahte hain nikalta hai 'hasan' ghar se tere
ghusse ho ho yahi kahta hai abhi han nikle
(433) Peoples Rate This