Shama San Shab Ke Mehman Hain Hum
shama san shab ke mehman hain hum
subh hote to phir kahan hain hum
tum bin ai raftgan-e-mulk-e-adam
hasti apni se sargiran hain hum
baghban Tuk to baiThne de kahin
aah gum-karda aashiyan hain hum
dekhte hain usi ko ahl-e-nazar
go nihan hai wo aur ayan hain hum
na kisi ki sunen na apni kahen
naqsh-e-diwar-e-bostan hain hum
jins-e-asudgi nahin hum pas
dard aur gham ke karwan hain hum
dil se nala nikal nahin sakta
yan talak gham se na-tawan hain hum
kya kahen hum 'hasan' ba-qaul 'ziya'
jis tarah se ki ab yahan hain hum
dagh hain karwan-e-rafta ke
naqsh-e-pa-e-guzishtagan hain hum
(375) Peoples Rate This