Shab Ko Tum Humse KHafa Ho Kar Sahar Ko UTh Gae
shab ko tum hum se KHafa ho kar sahar ko uTh gae
shama san ro ro ke hum bhi dil jigar ko uTh gae
the abhi to pas hi apne qarar-o-hosh-o-sabr
tere aate hi na-jaane wo kidhar ko uTh gae
tu na nikla ghar se bahar subh se le sham tak
dekh dekh aaKHir tere diwar-o-dar ko uTh gae
kis se puchhun haal main bashindagan-e-dil ka hae
is nagar ke rahne wale kis nagar ko uTh gae
ai KHusha we jo ki warasta talluq se hue
jis jagah chaha rahe chaha jidhar ko uTh gae
dair-o-kaba hi ko jaana kuchh nahin lazim gharaz
jis taraf pai KHabar us ki udhar ko uTh gae
shahr mein rone ke hathon jab na rahne pae hum
koh-o-sahra ki taraf le chashm-e-tar ko uTh gae
puchhta hai haal kya aawargan-e-hind ka
kuchh idhar ko uTh gae aur kuchh udhar ko uTh gae
tu akela us jagah baiTha karega kya 'hasan'
tere sathi to kabhi ke apne ghar ko uTh gae
(422) Peoples Rate This