Sanam Pas Hai Aur Shab-e-mah Hai
sanam pas hai aur shab-e-mah hai
ye shab hai ki allah hi allah hai
tere naz kyunkar uThaun na main
meri dosti par tu gumrah hai
tujhe hosh itna nahin be-KHabar
mere haal se kab tu aagah hai
tera nam lete nikalti hai aah
meri aah ke dil mein kya aah hai
kahan barq-e-ishq o kahan koh-e-sabr
bagule ke aage par-e-kah hai
main kyunkar kahun tujh ko fursat nahin
pe ye baat kab tere dil-KHwah hai
na aane ke sau uzr hain meri jaan
aur aane ko puchho to sau rah hai
main ek roz puchha jo us shoKH se
ki kyun kuchh tujhe bhi meri chah hai
to hans kar laga kahne kya KHub kyun
to mera kahan ka hawa-KHwah hai
ye sin kar jo main chup raha to kaha
abe dil ka malik to allah hai
'hasan' wasl aur hijr mein yar ke
kabhi aah hai aur kabhi wah hai
(358) Peoples Rate This