Sab Naqsh Is Falak Ke Nagine Pe Aa Rahe
sab naqsh is falak ke nagine pe aa rahe
kar-e-jahan tamam kamine pe aa rahe
aage jo dilbari thi so aashiq-kushi hai ab
jo kaam mehr ke the so kine pe aa rahe
ghusse mein josh mara jo dariya-e-husn ne
jalwe nazakaton ke pasine pe aa rahe
Darta hai dil ki is pe taraqqi na ho kahin
milne ke waqt ab to mahine pe aa rahe
tu kuchh na bole aur maza ho ki mera hath
kandhe se tere masti mein sine pe aa rahe
dariya-e-dil ki mauj se KHatra hai chashm ko
mat ye kahin uchhal ke safine pe aa rahe
puli tale guzar gai lakhon ki umr ab
gumbad mein koi kaun se jine pe aa rahe
jin ka dimagh arsh pe tha ab hain paemal
koThe pe jo ki rahte the zine pe aa rahe
ganj-e-nihan se dil ke to waqif hue na hum
kya faeda jo zar ke dafine pe aa rahe
do din ke chao-chuz 'hasan' ke wo ho chuke
phir rafta rafta apne qarine pe aa rahe
(426) Peoples Rate This