Sab Ko Hai Manzur Us RuKHsar-e-gul-gun Ki Taraf
sab ko hai manzur us ruKHsar-e-gul-gun ki taraf
dekhta hai kaun meri chashm-e-pur-KHun ki taraf
sath naqa ke KHuda jaane kidhar ram kar gai
gard-e-mahmil bhi na pahunchi aah majnun ki taraf
jaan-o-dil mein be-tarah bigDi hai tere ishq mein
kijiye dil ki taraf ya jaan-e-mahzun ki taraf
zulf-o-ruKH hai roz-o-shab kya dekhte rahte ho tum
munsifi se Tuk to dekho apne maftun ki taraf
KHizr tak kijo madad tu bhi ki ta bhule na rah
naqa-e-laila chala hai aaj majnun ki taraf
garche hain teri hi gardish se nigah ki hum KHarab
par ishaara is ka kar dete hain gardun ki taraf
kyunki aawe chain tere wahshiyon ko baad-e-marg
KHak ho kar jab talak jawen na hamun ki taraf
nam mein bhi hai ayan aashiq ki aashufta-sari
dekhte to hoge aksar bed-e-majnun ki taraf
bas-ki us ki zulf ke aashufta hain hum ai 'hasan'
sher mein bhi dhyan hai pechida mazmun ki taraf
(474) Peoples Rate This