Rakhta Hai Sulh Sab Se Dil Us Ka Pa Mujhse Jang
rakhta hai sulh sab se dil us ka pa mujh se jang
ghairon ke haq mein mom hai aur mere haq mein sang
kaisa visal kis ka firaq aur kahan ka ishq
thi aalam-e-jawani ki bas ye bhi ek tarang
kya tab milegi aah mujhe aarzu-e-dil
mar jaegi taDap ke mere ji ki jab umang
hairan main apne haal pe chun aaina nahin
aalam ke munh ko dekh ke main rah gaya hun dang
aata hai kya nazar use shoale mein shama ke
deta hai jaan-bujh ke kyun apna ji patang
leta tha nam ghair nikal aaya mera nam
aaKHir jhalak gaya hai mohabbat ka rang-Dhang
waqif nahin nishan se main us yar ke 'hasan'
jis ke liye uDa diya sab apna nam-o-nang
(396) Peoples Rate This