Naghma-o-ishq Se Hain Subha-o-zunnar Mile
naghma-o-ishq se hain subha-o-zunnar mile
ek aawaz pe do saz ke hain tar mile
main to aashufta-e-dil aur dil aashufta-e-zulf
KHub hum donon giraftar giraftar mile
maslahat hai ki teri chashm ko hai dil se hijab
ranj ho aur jo bimar se bimar mile
din tawaqqo hi tawaqqo mein kahan tak guzren
mar gae hijr mein bas ab to kahin yar mile
apni hi waza pe lawenge KHuda KHair kare
be-tarah rahte hain is shoKH se ayyar mile
dard-o-ranj-o-alam o hasrat-o-dagh o gham-o-rashk
mujh ko kya kya na tere ishq mein aazar mile
kya baDi umr hai dil mein abhi guzra tha mere
ki maza howe jo aise mein wo dildar mile
bare to aan hi pahuncha mera ji shad hua
main ne ab jaana ki hain donon ke asrar mile
mund le jab tu in aaankhon ko jahan se tu 'hasan'
dil ki aaankhon se tujhe yar ka didar mile
(362) Peoples Rate This