Na Barg Hun Main Gul Ka Na Lale Ka Shajar Hun
na barg hun main gul ka na lale ka shajar hun
main laKHt-e-dil-e-rish hun aur dagh-e-jigar hun
hun dair mein na kabe mein na dil hi mein apne
kya jaanon tajassus mein teri aah kidhar hun
paida hue aur jate rahe saikDon mujh se
aatish-kada-e-dahr mein ek main bhi sharar hun
na zist ka haz hai na mujhe maut ka aaram
hun naza mein jaise ki idhar hun na udhar hun
wan dhyan kabhi tujh ko guzarta nahin mera
main hun ki teri yaad mein yan aaTh pahar hun
na dud hun mujmir ka na main shama ka shoala
main nala-e-shab-gir hun aur aah-e-sahar hun
KHali nahin mujh se haram-o-dair-o-dil-o-chashm
main mazhar-e-haq hun ki jidhar dekho tidhar hun
pata hi nahin rah kisi dil mein ilahi
main kis dil-e-nakaam ki aahon ka asar hun
na shisha-e-mai hun na 'hasan' saghar-e-labrez
main ek dil-e-pur-dard hun aur dida-e-tar hun
(439) Peoples Rate This