Na Bagh Se Gharaz Hai Na Gulzar Se Gharaz
na bagh se gharaz hai na gulzar se gharaz
hai bhi jo kuchh gharaz to hamein yar se gharaz
phirte hain hum to did ko tere hi dar pe kuchh
raste se hai na kaam na bazar se gharaz
kahne se kya kisi ke koi kuchh kaha kare
hum ko to ek us ki hai guftar se gharaz
ji in dinon mein aap se bhi hai KHafa wa-lek
bezar jo nahin hai to dildar se gharaz
phir phir ke aaj puchhte ho dil ka haal kyun
hai KHair tum ko kya dil-e-bimar se gharaz
aane ka wada kar ki na kar hum ko ab tere
iqrar se na kaam na inkar se gharaz
hum ko bhi dushmani se tere kaam kuchh nahin
tujh ko agar hamare nahin pyar se gharaz
sar-rishta jis ke hath laga ishq ka use
tasbih se na shauq na zunnar se gharaz
din-dar jo rakhe na 'hasan' mujh se kaam to
kafir hun main bhi rakhkhun jo din-dar se gharaz
(499) Peoples Rate This