Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fc629574839c5345845a90d94042d48a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Munh Kahan Ye Ki Kahun Jaiye Aur So Rahiye - Meer Hasan Poetry In English - Darsaal

Munh Kahan Ye Ki Kahun Jaiye Aur So Rahiye

munh kahan ye ki kahun jaiye aur so rahiye

KHub gar nind hai to aaiye aur so rahiye

takiya zanu ka mere kijiye be-KHauf-o-KHatar

aap tashrif idhar laiye aur so rahiye

aaj ki chandni wo hai ki kisi shoKH ke sath

khol aaghosh lipaT jaiye aur so rahiye

yun to hargiz nahin aane ki tumhein nind magar

mujh se qissa mera kahwaiye aur so rahiye

gham raha tha meri baaton ka tumhein kis kis din

munh mera aap na khulwaiye aur so rahiye

gar rahen hum bhi kahin paenti ab jaen kahan

aap itna hamein farmaiye aur so rahiye

baKHt jage hain shab-e-mah mein jo yar hai pas

chandni taKHt pe bichhwaiye aur so rahiye

us ada ka hun main diwana ki angDai le

mujh se kahta hai kahin jaiye aur so rahiye

Dar KHuda ka hai nahin aur sanam ko le kar

ek ja par tujhe dikhlaiye aur so rahiye

tapish-e-ishq ki garmi se jale jate hain

chhanw ThanDi kahin Tuk paiye aur so rahiye

ye bila fikr se kuchh ned hui hai 'hasan'

ji mein aata hai ki kuchh khaiye aur so rahiye

(416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Munh Kahan Ye Ki Kahun Jaiye Aur So Rahiye In English By Famous Poet Meer Hasan. Munh Kahan Ye Ki Kahun Jaiye Aur So Rahiye is written by Meer Hasan. Read famous Poem Munh Kahan Ye Ki Kahun Jaiye Aur So Rahiye for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Munh Kahan Ye Ki Kahun Jaiye Aur So Rahiye in PDF.