Munh Apna KHushk Hai Aur Chashm Tar Hai
munh apna KHushk hai aur chashm tar hai
tere gham mein ye sair-e-bahr-o-bar hai
KHabar le dil ki us se jis ka ghar hai
kisi ke ghar ki hum ko kya KHabar hai
wo ab kyunkar na khinche aap ko dur
hamare chahne ka ye asar hai
hamein kuchh wo nahin hain aah warna
wahi hai sham aur wo hi sahar hai
hamein dekho na dekho tum hamein to
tumhaara dekhna madd-e-nazar hai
suna le marte marte gul ko bulbul
koi nala tere dil mein agar hai
uThata hai jo roz uTh dard-o-gham ko
kise taqat hai mera hi jigar hai
kabhi basta tha ek aalam yahan bhi
ye dil jo ab ki ujDa sa nagar hai
kaha chahe hai kuchh kahta hai kuchh aur
'hasan' dhyan in dinon tera kidhar hai
(369) Peoples Rate This