Majnun Ko Apni Laila Ka Mahmil Aziz Hai
majnun ko apni laila ka mahmil aziz hai
tu dil mein hai hamare hamein dil aziz hai
abru-o-chashm-o-zulf mizha ki to kahiye kya
hum ko to tere munh se tera til aziz hai
dil ko kiya jo qatl to us ne bhala kiya
mujh ko to apne dil se wo qatil aziz hai
itna nahin koi ki pakaD aastin meri
us se kahe ki tujh pe ye mail aziz hai
ja baiThte hain chhup ke kabhi hum bhi us jagah
is waste hamein teri mahfil aziz hai
ek naqsh de ki jis se musaKHKHar ho wo pari
aisa bhi dosto koi aamil aziz hai
kyunkar karun na is dil-e-majruh ka ilaj
muddat ka hai rafiq ye ghayal aziz hai
ne hur na pari hai na wo mah-mushtari
ek nur hai ki sab ko wo hasil aziz hai
hijran mein intizar bhi hai us ka mughtanim
jo Dubta ho us ko to sahil aziz hai
aan-o-ada mein Thor hi rakhta hai KHalq ko
apne to fan mein ek wo kaamil aziz hai
kyunkar na chahe us ko har ek jaan ki tarah
KHwahish mein us ki sab hain wo har dil aziz hai
hir-phir ke tere kuche mein karte hain hum maqam
hum se musafiron ko ye manzil aziz hai
sohbat se koi kyunki 'hasan' ke na howe KHush
shair hai yar-bash hai qabil aziz hai
(370) Peoples Rate This