Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_269c01fd984ce0d40b9fa91fd3b88d33, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kyun Rang-e-surKH Tera Ab Zard Ho Gaya Hai - Meer Hasan Poetry In English - Darsaal

Kyun Rang-e-surKH Tera Ab Zard Ho Gaya Hai

kyun rang-e-surKH tera ab zard ho gaya hai

tu hi magar hamara hamdard ho gaya hai

we din gae ki dil mein rahta tha dard apne

ab dil nahin sarapa ek dard ho gaya hai

itna to farq mujh mein aur dil mein hai ki tujh bin

main KHak ho gaya hun wo gard ho gaya hai

hai chaak chaak sina kyunkar chhupe tu dil mein

ye to makan sara be-pard ho gaya hai

kis tarah shaiKH chheDe ab duKHt-e-raz ko aa kar

is tarf se bechaara namard ho gaya hai

yan kya na tha jo wan ki rakkhe 'hasan' tawaqqo

donon jahan se apna dil sard ho gaya hai

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Rang-e-surKH Tera Ab Zard Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Meer Hasan. Kyun Rang-e-surKH Tera Ab Zard Ho Gaya Hai is written by Meer Hasan. Read famous Poem Kyun Rang-e-surKH Tera Ab Zard Ho Gaya Hai for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Kyun Rang-e-surKH Tera Ab Zard Ho Gaya Hai in PDF.