Kal Jo Tum Idhar Se Guzre Hum Nazar Kar Rah Gae
kal jo tum idhar se guzre hum nazar kar rah gae
ji mein tha kuchh kahiye lekin aah Dar kar rah gae
jab na kuchh bas chal saka apna to phir hasrat se hae
dekh kar munh ko tere ek aah bhar kar rah gae
sar bahut paTka qafas mein apna hum ne ham-safir
kui na pahuncha dad ko fariyaad kar kar rah gae
nama-bar ki ya kabutar ki ki dil ki rakhiye aas
apne to yan se gae jo wan wo mar kar rah gae
kal kisi ka zikr-e-KHair aaya tha majlis mein 'hasan'
is dil-e-betab par hum hath dhar kar rah gae
(397) Peoples Rate This