Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_149acba076089980c51f18ae5541eac7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jald Husn-o-jamal Jata Hai - Meer Hasan Poetry In English - Darsaal

Jald Husn-o-jamal Jata Hai

jald husn-o-jamal jata hai

nahin rahta ye haal jata hai

jab talak dekhta nahin us ko

dil mein kya kya KHayal jata hai

kaun se waqt arz-e-haal karun

wo to har waqt Tal jata hai

jis ka hota hai gham se dil bhaari

wo tere dar pe Dal jata hai

sarson aankhon mein kyun na phule ab

zard oDhe do-shaal jata hai

saf samjha nahin mujhe aashiq

baat kahte sambhaal jata hai

jaan deta hun jald dekhun to

nama-bar kaisi chaal jata hai

nukta-chinon ne kuchh kaha to kya

koi is mein kamal jata hai

kuchh rihai nazar nahin aati

yun hi ab ka bhi sal jata hai

aah misl-e-shab-e-jawani jald

kya ye roz-e-visal jata hai

dilbari wo sanam kare meri

kuchh bhala ehtimal jata hai

yun KHuda ki KHudai hai mamur

par kab apna KHayal jata hai

tu to KHush ho 'hasan' ke jaane se

tera ranj-o-malal jata hai

(446) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jald Husn-o-jamal Jata Hai In English By Famous Poet Meer Hasan. Jald Husn-o-jamal Jata Hai is written by Meer Hasan. Read famous Poem Jald Husn-o-jamal Jata Hai for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Jald Husn-o-jamal Jata Hai in PDF.