Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2bf4d9b50e22aef969d90faa6ce25840, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jaan Mein Jaan Tabhi Qais Ke Bas Aati Hai - Meer Hasan Poetry In English - Darsaal

Jaan Mein Jaan Tabhi Qais Ke Bas Aati Hai

jaan mein jaan tabhi qais ke bas aati hai

naqa-e-laila ki jab bang-e-jaras aati hai

sath dekhun hun kisi ke jo kisi dilbar ko

main bhi ji rakhta hun mujh ko bhi hawas aati hai

qais o farhad ke rone ki jab aa jati hai lahar

koh-o-sahra pe ghaTa ja ke baras aati hai

zindagi hai to KHizan ke bhi guzar jaenge din

fasl-e-gul jiton ko phir agle baras aati hai

jab qafas mein the to thi yaad-e-chaman hum ko 'hasan'

ab chaman mein hain to phir yaad-e-qafas aati hai

(408) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan Mein Jaan Tabhi Qais Ke Bas Aati Hai In English By Famous Poet Meer Hasan. Jaan Mein Jaan Tabhi Qais Ke Bas Aati Hai is written by Meer Hasan. Read famous Poem Jaan Mein Jaan Tabhi Qais Ke Bas Aati Hai for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Jaan Mein Jaan Tabhi Qais Ke Bas Aati Hai in PDF.