Itne Aansu To Na The Dida-e-tar Ke Aage
itne aansu to na the dida-e-tar ke aage
ab to pani hi bhara rahta hai ghar ke aage
dam-ba-dam mujh ko tasawwur hai usi dilbar ka
raat din phirta hai meri wo nazar ke aage
hain ye ai jaan mere dil se mujhe apne aziz
tere daghon ko main rakhta hun jigar ke aage
garmi apni ko faramosh karen mahr-wishan
sard ho jaen sab us rashk-e-qamar ke aage
baad-e-tundi se miyan teri mujhe hairat hai
kyunki rakhta hai tapanchon ko kamar ke aage
tere danton se main tashbih na dun gauhar ko
put ko qadr nahin silk-e-guhar ke aage
zor se kaam nikalta nahin be zar ke diye
zar bhi harba hai tera ek bashar ke aage
zar agar barsar-e-faulad nahin narm shuad
zor ka zor dhara rahta hai zar ke aage
kis ko kahta hai miyan yan se sarak yan se sarak
koi baiTha nahin aa kar tere dar ke aage
ye to majlis hai jahan baiTh gae baiTh gae
kyun jagah badle koi kahe ko sarke aage
ab kahan jae 'hasan' hathon se tere zalim
rakh liya tu ne use tegh-o-sipar ke aage
(427) Peoples Rate This