Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_54523f16e5d09575c866e0562c85864c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Is Dil Mein Apni Jaan Kabhi Hai Kabhi Nahin - Meer Hasan Poetry In English - Darsaal

Is Dil Mein Apni Jaan Kabhi Hai Kabhi Nahin

is dil mein apni jaan kabhi hai kabhi nahin

aabaad ye makan kabhi hai kabhi nahin

ghairon ki baat kya kahun is ki to yaad mein

apna bhi mujh ko dhiyan kabhi hai kabhi nahin

wo din gae jo karte the hum muttasil fughan

ab aah-e-na-tawan kabhi hai kabhi nahin

jis aan mein rahe tu use jaan mughtanim

yan ki har ek aan kabhi hai kabhi nahin

ayyam-e-wasl par to bharosa na kijiyo

ye waqt meri jaan kabhi hai kabhi nahin

aadat jo hai hamesha se us ki so hai gharaz

wo hum pe mehrban kabhi hai kabhi nahin

is dosti ka teri talawwun-mizaji se

apne tain guman kabhi hai kabhi nahin

maghrur hojiyo na is auj-o-hasham pe tu

yan ki ye izz-o-shan kabhi hai kabhi nahin

aashiq kahin hua hai 'hasan' kya hai us ka haal

ye aap mein jawan kabhi hai kabhi nahin

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Dil Mein Apni Jaan Kabhi Hai Kabhi Nahin In English By Famous Poet Meer Hasan. Is Dil Mein Apni Jaan Kabhi Hai Kabhi Nahin is written by Meer Hasan. Read famous Poem Is Dil Mein Apni Jaan Kabhi Hai Kabhi Nahin for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Is Dil Mein Apni Jaan Kabhi Hai Kabhi Nahin in PDF.