Humse To Kisi Kaam Ki Buniyaad Na Howe
hum se to kisi kaam ki buniyaad na howe
jab tak ki udhar hi se kuchh imdad na howe
hum ko bhi nahin chain tere ghamzon se dilbar
jab tak ki naya ek sitam ijad na howe
ai aah zara uThiyo to aahista ki wo jo
thoDa sa asar hai kahin barbaad na howe
di thi ye dua kis ne mere dil ko ilahi
ujDe ye ghar aisa ki phir aabaad na howe
dekha na kisi waqt main hanste hue us ko
ye bhi koi dil hai jo kabhi shad na howe
bhule se bhi bhulo na kabhi ghairon ka tum nam
aur nam hamara hi tumhein yaad na howe
kyun dekho ho us ka qad-o-ru bulbul-o-qumri
kya samjhe ho tum ye gul-o-shamshad na howe
mar jaen qafas mein yun hi hum aah taDap kar
itni jo KHabar lene ko sayyaad na howe
dil jal ke jahan surma hua qais ka ab tak
us ja pe jaras pahunche to fariyaad na howe
mere liye qatil bhi agar howe to howe
par ghair ke haq mein to wo jallad na howe
warasta jo ho qaid se hasti ke to behtar
par dam se tere 'hasan' aazad na howe
(411) Peoples Rate This