Hum Na Hanste Hain Aur Na Rote Hain
hum na hanste hain aur na rote hain
umr hairat mein apni khote hain
kha ke gham KHwan-e-ishq ke mehman
hath KHun-e-jigar se dhote hain
wasl hota hai jin ko duniya mein
yarab aise bhi log hote hain
kos-e-rahlat hai jumbish-e-har-dam
aah tis par bhi yar sote hain
dil laga us se mardum-e-dida
sath apne hamein Dubote hain
aah-o-nala se wo KHafa hai abas
kanTe hum apne haq mein bute hain
yaad aati hain us ki jab baaten
dil 'hasan' donon mil ke rote hain
(449) Peoples Rate This