Hai Dhyan Jo Apna Kahin Ai Mah-jabin Aur
hai dhyan jo apna kahin ai mah-jabin aur
jaana hai kahin aur to jata hun kahin aur
jab tu hi kare dushmani hum se to ghazab hai
tere to siwa apna koi dost nahin aur
main hashr ko kya roun ki uTh jate hi tere
barpa hui ek mujh pe qayamat to yahin aur
wada to tere aane ka hai sach hi wa-lekin
bazu ke phaDakne se hua dil ko yaqin aur
aaKHir tu kahan kucha tera aur kahan hum
kar lewen yahan baiTh ke ek aah-e-hazin aur
tha ru-e-zamin tang zi-bas hum ne nikali
rahne ke liye sher ke aalam mein zamin aur
nam apna likhawe to likha dil pe tu mere
is nam ko behtar nahin is se to nagin aur
abru ki to thi chin mere dil pe ghazab par
mizhgan se numudar hue KHanjar-e-kin aur
nikle to usi kucha se ye gum-shuda nikle
DhunDhe hai 'hasan' dil ko to phir DhunD wahin aur
(416) Peoples Rate This