Gul Hai ZaKHmi Bahaar Ke Hathon
gul hai zaKHmi bahaar ke hathon
dil hai sad-chaak yar ke hathon
dam-ba-dam qata hoti jati hai
umr lail-o-nahaar ke hathon
jaan-ba-lab ho raha hun misl-e-habab
main tere intizar ke hathon
ek dam bhi mila na hum ko qarar
is dil-e-be-qarar ke hathon
apni sar-gashtagi kabhi na gai
gardish-e-rozgar ke hathon
ek shagufa uThe hai roz naya
is dil-e-dagh-dar ke hathon
dil pe kya kya hue hain naqsh-o-nigar
nawak-e-dil-figar ke hathon
ho raha hai KHarab KHana-e-dil
dida-e-ashk-bar ke hathon
gar kabhi lag gaya tera daman
meri musht-e-ghubar ke hathon
chhuTna hai phir us ka amr-e-muhaal
is tere KHaksar ke hathon
ek dil KHar KHar hun main 'hasan'
apne us gul-ezar ke hathon
(412) Peoples Rate This