Ghair Ko Tum Na Aankh Bhar Dekho
ghair ko tum na aankh bhar dekho
kya ghazab karte ho idhar dekho
KHak mein mat milao dil ko mere
ji mein samho Tuk apna ghar dekho
dekhna zulf-o-ruKH tumhein har waqt
sham dekho na tum sahar dekho
gul hue jate hain charagh ki tarah
hum ko Tuk jald aan kar dekho
aap pe apna iKHtiyar nahin
jabr hai hum par kis qadar dekho
ram baaton mein to wo ho na saka
naqsh o afsun bhi koi kar dekho
laKHt-e-dil tum na samho mizhgan par
aashiqi ka ye hai samar dekho
wasl hota nahin bhala kyunkar
apni hasti se to guzar dekho
dekhte hi nahin to kya kahiye
kahiye tab haal kuchh agar dekho
Dhalte ho tum butan udhar dil se
aaj-kal jis ke hath zar dekho
ishq-bazi se baz aao 'hasan'
chhoD do apna ye hunar dekho
(333) Peoples Rate This