Faeda Aane Se Aise Aa Ke Pachhtaen Hain Hum
faeda aane se aise aa ke pachhtaen hain hum
uTh gae jab yan ke guzre aah tab aaen hain hum
aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz
ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum
tarfa haalat hai na wo aata hai na jata hai ji
aur yahan be-taqati se dil ki ghabraen hain hum
jis taraf jate wahan lagta nahin kya kijiye
is dil-e-wahshi ke hathon saKHt uktaen hain hum
dekhiye ab kya jawab aawe wahan se ham-nashin
nama to likh kar 'hasan' ka us ko pahunchaen hain hum
(368) Peoples Rate This