Dur Se Bagh-e-jahan Dikhla Ke Diwana Kiya
dur se bagh-e-jahan dikhla ke diwana kiya
muttasil jaane na paya main ki virana kiya
dekhte hi mai ko saghar ka na khencha intizar
mare jaldi ke main apna hath paimana kiya
Turfa-tar ye hai ki apna bhi na jaana aur yunhi
apna apna kah ke mujh ko sab se begana kiya
kuchh bahak kar baat gar bolun to hun mazur main
mujh ko hasti ne teri aankhon ki mastana kiya
bewafai ne ye kis ki tujh ko samjhaya 'hasan'
in dinon kyun tu ne kam us taraf jaana kiya
(424) Peoples Rate This