Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2daff97d1f46a7473a37cceeb2fda31e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chashm-e-tar Raat Mujhko Yaad Aai - Meer Hasan Poetry In English - Darsaal

Chashm-e-tar Raat Mujhko Yaad Aai

chashm-e-tar raat mujh ko yaad aai

apni auqat mujh ko yaad aai

nala-e-dil par aah ki main ne

baat par baat mujh ko yaad aai

abhi bhuli thi duKHt-e-raz tauba

phir wo bad-zat mujh ko yaad aai

zulf mein dekh KHal ko us ke

shab ki wo ghat mujh ko yaad aai

dekh lala ka rang us ki kafak

aaj haihat mujh ko yaad aai

ji pe jis ke sitam kahin dekha

dil ki auqat mujh ko yaad aai

dekh rote 'hasan' ko shiddat se

par ki barsat mujh ko yaad aai

(372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-tar Raat Mujhko Yaad Aai In English By Famous Poet Meer Hasan. Chashm-e-tar Raat Mujhko Yaad Aai is written by Meer Hasan. Read famous Poem Chashm-e-tar Raat Mujhko Yaad Aai for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Chashm-e-tar Raat Mujhko Yaad Aai in PDF.