Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_227d1f886fb2a39f637a9d95047d8d65, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bas Gaya Jab Se Yar Aankhon Mein - Meer Hasan Poetry In English - Darsaal

Bas Gaya Jab Se Yar Aankhon Mein

bas gaya jab se yar aankhon mein

tab se phuli bahaar aankhon mein

nazar aane se rah gaya az-bas

chha gaya intizar aankhon mein

chashm-e-bad-dur KHub lagta hai

tutiya-e-nigar aankhon mein

chashm-e-mast us ki dekhi thi ek roz

us ka khincha KHumar aankhon mein

mujh ko manzur hai 'hasan' jo mile

KHak-e-pa-e-nigar aankhon mein

(402) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Gaya Jab Se Yar Aankhon Mein In English By Famous Poet Meer Hasan. Bas Gaya Jab Se Yar Aankhon Mein is written by Meer Hasan. Read famous Poem Bas Gaya Jab Se Yar Aankhon Mein for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Bas Gaya Jab Se Yar Aankhon Mein in PDF.