Aankhon Se KHun Apne Ye Kahta Nahin Na Jae
aankhon se KHun apne ye kahta nahin na jae
par sath us ke lipTa hua dil kahin na jae
itni to chahiye tujhe pas-e-shikasta-dil
jo aawe tere yan so wo andohgin na jae
sabr-o-qarar-o-hosh-o-KHirad sab ke sab ye jaen
par dagh-e-ishq sine se ai ham-nashin na jae
dair-o-haram mein ja ke jo chahe phir aa sake
par aawe jo gali mein teri wo kahin na jae
hum girya-nak hain ye sada se hai aib-posh
aankhon se dur apne kahin aastin na jae
hai para-e-aqiq jigar dekhiyo kahin
ai chashm tere hath se aisa nagin na jae
nikle na jaan tan se 'hasan' ki to tab talak
jab tak tu us ke sar pe dam-e-wapsin na jae
(385) Peoples Rate This