Aankhon Mein Hain Haqir Jis-tis Ke
aankhon mein hain haqir jis-tis ke
nazron se gir gae hain hum kis ke
dil ka hamdam ilaj mat kar ab
zaKHm marham-pazir hain is ke
kaun aata hai aisa hosh-ruba
sabr o taqat yahan se kyun khiske
dekhti hai ye kis ki aankhon ko
kyun khule hain ye chashm nargis ke
bas kahin thak bhi aasiya-e-falak
ho chuke surma hum to ab pis ke
ji se rahte hain apne us pe nisar
dil se hote hain dost hum jis ke
go nahin ab kabhi to ai pyare
hum bhi the yar teri majlis ke
tu to KHush hai ki tere kuche mein
ek taDpa kare aur ek siske
mar gae par bhi ye 'hasan' na munde
muntazir chashm the tere kis ke
(341) Peoples Rate This