Aan Kar Gham-kada-e-dahr Mein Jo BaiThe Hum
aan kar gham-kada-e-dahr mein jo baiThe hum
shama san apne tain aap hi ro baiThe hum
ishq ke hath se kashti-e-shikasta ki tarah
aap apne tain ro ro ke Dubo baiThe hum
gar yahi tere ishaare hain to majlis se teri
kui na kui aa ke uTha dewega go baiThe hum
tum jo uThne ko hue the to chale the hum bhi
ab jo yun aap ki marzi hai to lo baiThe hum
sina KHali nahin hota hai na thamte hain ashk
kab se rote hain dil-e-KHun-shuda ko baiThe hum
ghair kahte hain ki hum baiThne dewenge na yan
ab to is zid se jo kuchh howe so ho baiThe hum
ashk aaankhon se to madum hue the kad ke
hath ab girya-e-KHuni se bhi dho baiThe hum
aur to kuchh nahin yan itna KHafa hote ho kyun
kya hua aap ke nazdik jo ho baiThe hum
aarzu dil ki bar aai na 'hasan' wasl mein aur
lazzat-e-hijr ko bhi muft mein kho baiThe hum
(374) Peoples Rate This