Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_14392f0c7916bf9f73eb7f0870996de3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zist Honi Tajjubaat Hai Ab - Meer Asar Poetry In English - Darsaal

Zist Honi Tajjubaat Hai Ab

zist honi tajjubaat hai ab

mar hi jaana bas ek baat hai ab

daur mein tere hai wo kuchh andher

nahin malum din hai raat hai ab

dil hai zinda na ji hi jita hai

zindagi bad-tar-az-mamat hai ab

itne be-did be-shunid hue

na tawajjoh na iltifat hai ab

hijr kaisa visal ho bil-farz

kuchh hi surat ho mushkilat hai ab

ji hi lena ba-lutf hai manzur

is qadar jo tafazzulat hai ab

jite ji to raha visal muhaal

mar chuke par tawaqquat hai ab

kuchh na puchho 'asar' ki bechaini

na sukunat hai ne sabaat hai ab

(470) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zist Honi Tajjubaat Hai Ab In English By Famous Poet Meer Asar. Zist Honi Tajjubaat Hai Ab is written by Meer Asar. Read famous Poem Zist Honi Tajjubaat Hai Ab for youth and Student by Meer Asar. Free Download Zist Honi Tajjubaat Hai Ab in PDF.