Wahshat-zada Dil To Jun Sharar Hai
wahshat-zada dil to jun sharar hai
is ke tain aap se safar hai
tum jaur-o-jafa karo jo chaho
in baaton pe kab mujhe nazar hai
tu aap hi KHair aap shar hai
kuchh aur na nafa ne zarar hai
hum be-KHabron se rah KHabar-dar
itni to bhala tujhe KHabar hai
guzri jati hai har tarah se
duniya guzran sar-ba-sar hai
dil ke KHatron se be-KHatar hun
sar se panw talak KHatar hai
tu ne hi to yun niDar kiya hai
bas ek mujhe tera hi Dar hai
yun dard ba-jaan-o-dil samaya
har nala-o-ah kargar hai
ya hazrat-e-andalib baKHshish
ye tere hi dard ka asar hai
dil teri taraf hai nit par is ko
malum nahin ki tu kidhar hai
yun aankh se aankh mein mila hai
itna to mera dil o jigar hai
be-dard tu kyunki rah sakega
ye hazrat-e-'dard' ka 'asar' hai
(442) Peoples Rate This