Sarf-e-gham Humne Naujawani Ki
sarf-e-gham hum ne naujawani ki
wah kya KHub zindagani ki
apni biti agar main tujh se kahun
baat nibDe na is kahani ki
tere daghon ki ai gham-e-ulfat
KHub hum ne bhi baghbani ki
jun nigah dil gaya hai aaankhon ki rah
garche hum ne nigahbani ki
kis ke han tum karam nahin karte
kabhu idhar na mehrbani ki
apne nazdik dard-e-dil main kaha
tere nazdik qissa-KHwani ki
harza-goi se mujh ko di hai najat
haigi minnat ye be-zabani ki
nahin taqat ki dam nikal sakun
ab ye naubat hai na-tawani ki
'asar' is haal pe bhi jita hai
kya kahun us ki saKHt-jaani ki
(458) Peoples Rate This