Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2d4e02250d387f9213b9a5cdbe4ed4b4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Laga Le Gae Jahan Dil Ko - Meer Asar Poetry In English - Darsaal

Na Laga Le Gae Jahan Dil Ko

na laga le gae jahan dil ko

aah le jaiye kahan dil ko

mujh se le to chale ho dekho par

toDiyo mat kahin miyan dil ko

aazma aur jis mein chahe tu

sabr mein kar na imtihan dil ko

yun to kya baat hai teri lekin

wo na nikla jo tha guman dil ko

rakh na tu ab daregh nim-nigah

mar mat dekh nim-jaan dil ko

aah kya kije yan banaya hai

dil-girafta hi ghuncha san dil ko

mar gaya pis gaya na ki par aah

aafrin aise be-zaban dil ko

dushmani tu hi is se karta hai

dost rakhta hai ek jahan dil ko

mehrbani to ki na zahir mein

rakhiye bare tu mehrban dil ko

lijiyega na lijiyega phir

dekhiye to sahi butan dil ko

aazmana kahin na saKHti se

dekhiyo mere na-tawan dil ko

tu bhi ji mein use jagah dijo

manzilat thi 'asar' ke han dil ko

(416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Laga Le Gae Jahan Dil Ko In English By Famous Poet Meer Asar. Na Laga Le Gae Jahan Dil Ko is written by Meer Asar. Read famous Poem Na Laga Le Gae Jahan Dil Ko for youth and Student by Meer Asar. Free Download Na Laga Le Gae Jahan Dil Ko in PDF.