KHafa Us Se Kyun Tu Meri Jaan Hai
KHafa us se kyun tu meri jaan hai
'asar' to koi dam ka mehman hai
tere ahd mein saKHt andher hai
ki ishq o hawas har do yaksan hai
kahun kya KHuda jaanta hai sanam
mohabbat teri apna iman hai
dil-o-gham mein aur sina-o-dagh mein
rifaqat ka yan ahd-o-paiman hai
tujhe bhi kabhu kuchh mera hai KHayal
mujhe marte marte tera dhyan hai
na dekha phir aaKHir ki mushkil paDi
udhar dekhna aisa aasan hai
qayamat yahi hai ki abru kaman
tujhe jin ne dekha so qurban hai
gulon ki tarah chaak ka ai bahaar
muhayya har ek yan gareban hai
bhala did kar lijiye muft hai
ki ab tak sitamgar wo anjaan hai
mujhe qatl karte to unen kya
par apne kiye par pasheman hai
nahin hai ye qatil taghaful ka waqt
KHabar le ki baqi abhi jaan hai
tammul kahan warna chun ghuncha yan
jo sar hai so gharq-e-gareban hai
ye kya ho gaya dekhte dekhte
'asar' main to main wo bhi hairan hai
(482) Peoples Rate This