Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_262f54634f2976e609df3f895bd95640, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jun Gul Tu Hanse Hai Khil-khila Kar - Meer Asar Poetry In English - Darsaal

Jun Gul Tu Hanse Hai Khil-khila Kar

jun gul tu hanse hai khil-khila kar

shabnam ki tarah mujhe rula kar

mehman ho ya ki yan tu aa kar

ya rakh mujhe apne han bula kar

dar par tere hum ne KHak chhani

naqd-e-dil KHak mein mila kar

manus na tha wo but kisu se

Tuk ram kiya KHuda KHuda kar

kin ne kaha aur se na mil tu

par hum se bhi kabhu mila kar

go zist se hain hum aap bezar

itna pe na jaan se KHafa kar

kuchh be-asron ko bhi asar ho

itni to bhala 'asar' dua kar

(435) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jun Gul Tu Hanse Hai Khil-khila Kar In English By Famous Poet Meer Asar. Jun Gul Tu Hanse Hai Khil-khila Kar is written by Meer Asar. Read famous Poem Jun Gul Tu Hanse Hai Khil-khila Kar for youth and Student by Meer Asar. Free Download Jun Gul Tu Hanse Hai Khil-khila Kar in PDF.