Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_deec5cc7c478d55295929c96cfad9d9b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham Ko Baham Baham Na Kije - Meer Asar Poetry In English - Darsaal

Gham Ko Baham Baham Na Kije

gham ko baham baham na kije

gar gham hai to gham ka gham na kije

yak nim-nigah hai so bhi kari

kuchh is mein se to kam na kije

go hum hain aashiq-e-wafadar

par itna bhi sitam na kije

be-faeda roiye kahan tak

ab ji mein hai chashm nam na kije

ghairon ke paDhane ko mera wasf

is taur se ye karam na kije

go tegh-e-asil hain ye abru

har dam itna bhi KHam na kije

gar jam-e-mai 'asar' lage hath

phir KHwahish-e-jam-e-jam na kije

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ko Baham Baham Na Kije In English By Famous Poet Meer Asar. Gham Ko Baham Baham Na Kije is written by Meer Asar. Read famous Poem Gham Ko Baham Baham Na Kije for youth and Student by Meer Asar. Free Download Gham Ko Baham Baham Na Kije in PDF.