Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2747d53eb21fba1c81e59e7469e71eb6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Garche Dil Mein Hi Sada Jaan-e-jahan Rahte Ho - Meer Asar Poetry In English - Darsaal

Garche Dil Mein Hi Sada Jaan-e-jahan Rahte Ho

garche dil mein hi sada jaan-e-jahan rahte ho

par ba-zahir nahin malum kahan rahte ho

shukr-lillah ki abhi kaam tumhein baqi hai

le chuke dil to wale darpa-e-jaan rahte ho

aa nikalte ho kidhar bhul ke be-KHwahish-e-dil

ab bhi jao wahin har roz jahan rahte ho

ai KHush-abru koi phir Dhab pe chaDha taza shikar

yun jo har waqt liye tir-o-kaman rahte ho

gar kabhi aae 'asar' pas hue wohin udas

KHush shab-o-roz paDe auron ke han rahte ho

(399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garche Dil Mein Hi Sada Jaan-e-jahan Rahte Ho In English By Famous Poet Meer Asar. Garche Dil Mein Hi Sada Jaan-e-jahan Rahte Ho is written by Meer Asar. Read famous Poem Garche Dil Mein Hi Sada Jaan-e-jahan Rahte Ho for youth and Student by Meer Asar. Free Download Garche Dil Mein Hi Sada Jaan-e-jahan Rahte Ho in PDF.