Asar Kijiye Kya Kidhar Jaiye
'asar' kijiye kya kidhar jaiye
magar aap hi se guzar jaiye
kabhu dosti hai kabhu dushmani
teri kaun si baat par jaiye
mera dil mere hath se lijiye aur
sitam hai mujhi se mukar jaiye
kai roz ki zindagani hai yan
bane jis tarah zist kar jaiye
'asar' in sulukon pe kya lutf hai
phir us be-murawwat ke ghar jaiye
(380) Peoples Rate This