Aasudgi Kahan Jo Dil-e-zar Sath Hai
aasudgi kahan jo dil-e-zar sath hai
marne ke baad bhi yahi aazar sath hai
anjam ho ba-KHair ilahi bure hain Dhang
har rozgar aise jafakar sath hai
gar sarf-e-dil mein chashma-e-KHun ho to KHushk ho
tufan ye hai ki dida-e-KHun-bar sath hai
dekhen bhala Tuk ek to jafa kije aur se
kya shaiKHi sari is hi gunahgar sath hai
ai shana zulf-e-yar se pechish na kijiyo
wabasta meri jaan har ek tar sath hai
jannat hai us baghair jahannam se bhi zubun
dozaKH bahisht haigi agar yar sath hai
mushkil hai taki hasti hai jawe KHudi ka shirk
tar-e-nafas nahin hai ye zunnar sath hai
hoti hai baat baat mein wo chashm KHashmagin
sohbat 'asar' hamein sada bimar sath hai
(394) Peoples Rate This